01

Aisi Meri Nani thi

A poem for my Nani

Choti si gudiya thi jab god mai utha le ai thi,

Sabse lad jati thi mere liye, aisi meri nani thi.

Jhagdti bhi thi per laad bhi ldati thi, aisi meri nani thi.

Haar baat meri maani ,har zid puri ker jati thi,

Aisi meri nani thi.

Khud chahe kitna bhi bacho ki trha ldh leti thi,

Per mjal hai kisi or ko ankh bhi uthane deti thi,

Aisi meri nani thi.

Jis baat k liye maa ne mna kiya wo har baat ki manzuri de diya kerti thi, aisi meri nani thi.

Hsti rehti thi kabhi kabhi galiyaan bhi bahut de diya kerti thi, mai behsti thi k ye baat nhi achi per ab lgta hai wo jo kerti thi sahi hi kerti thi kyu k ye zmana shayad isi layak tha.

Baap nhi tha jo Rajkumariyon sa rkhta or na iss baat ka kabhi gum tha,

Kyu k meri nani mujhe Raniyo sa jo rkhti thi, aisi meri nani thi.

Meri badnasebi ka usne kabhi apne mathe per tnsh tak na ane diya , aisi meri nani thi.

Apni mamta ki chaoun me chupa rkhti thi taki ye berehm zmana na mujhe dukh de, meri dhaal bn jati thi, aisi meri nani thi.

Ab kyu chli gai ho itna durr, mujhe akela chod ker, kon smbhale ga hme, kon pyaar dega?

Yaad nhi jati ankhein bhi nam ker jati hai, per kya keru maa ko bhi to smbhalna hai, jo tumhare liye roti hai toh has k anshu chupa jati hu.

Roun gi nhi, apsi bn jaungi haa muskil to hai kyu k koi bhi tum sa na bn skta hai.

Jisne zindagi k har gum ko bhi has k hra diya tha, aisi meri nani thi.

Aisi meri nani thi.

Write a comment ...

Cheryl

Show your support

It's time to show some appreciation for my work! If you enjoyed reading my stories, you can support me by paying for them through fan support. Every little bit helps and will be greatly appreciated. Your contribution will help me continue to bring you more stories and content. Let's show the world the power of readers supporting authors!

Recent Supporters

Write a comment ...

Cheryl

Pro
If you want to see the spoilers of upcoming chapters then πŸ‘‡ follow me on instagram and you can contact me there regarding anything because stck doesn't have a chat column 😊